Saturday 29 October 2011

SHERRY GHALIB

(Below mentioned piece is another sheer brilliance of the author S/Lt Shehryar, any unauthorized misuse or exploitation of the poem may lead to jeopardy)

Saree umar kat gaye teray hee intezaar mein
    Par naseeb na thaa tere chahat ka saaya
Jitni bhi karloon justaju tera wasal hey mushkil
    Jitna kareeb tha aaya , utna hee duur paaya
Sangdelana bartao na rakh mujh par aey zalim
    Kasur mera fakat itna keh tere yadoon ko senay say lagaya
Sajday mein ro ro kar manga khuda say tujh ko
    Itna na kabhi hansa thaa, keh jitna tuney rullaya
Kesay mein bhula doon barsoon ke haseen yadoon ko
    Kha liya zehr mein nae par chaen mujh ko na aaya
Zinda hoon sirf madham sansoon kay saharay
     Aek bewafa ka pyaar kis morr par lae aaya

PS: not everyone can become an awesome poet like me.. poets like me are born once in thousand years :)
ACHA BHALA INSAAN ISHK MEIN PHANS KAR SCOOTER BAN JATA HEY :o AS IN THE PIC IT IS VISIBLE :)

No comments:

Post a Comment